Pak-SMS.com | Free SMS to Pakistan Mobilink Ufone Warid Telenor Zong Djuice Instaphone GSM
Pak-SMS.com
Free SMS to Pakistan Mobilink Ufone Telenor
Zong Djuice Instaphone GSM

TAG | Neend

Ae neend aa jaa k aab koi nahi hai pas mere

K jis k liya tujhe chora tha, wo mujhe kab ka choor gaya

Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hoon,

Aur Apne Aankh Se Ojhal Hoon,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai,

Jab Dil Mein Basnay Waalay Bhi,

Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,

Door Kahin ja Bastay Hon,

Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hoon,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai,

Jab Gham Ki Raat Andhairi Ho,

Aur Us Mein Yaad Bhi TeriĀ  Ho,

Na Dil Mein Koi Ujaala Ho,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai…..

Tumhain ulfat nahi humse or humein nafrat nahi tumse

Ajab shikwa sa rehta hai, Tumheen humse or humein tumse

Gham ne hasney na diya chahat ne ronay na diya

Isi uljhaan ne faisla honay na diya..

Raat aai to sitaroon ne tasali di sagar

Neend aai to teri yaad ne sonay na diya

Humain aata hee nahi zakhmoon ki numaish karna

Khudi rotay hain, taraptay hain, or so jatay hain

Yun khaali palken jhuka lenay se

neend nahi aati,

Sotay wohi log hain

jin k liye koi jaag raha ho…

Tooti Jo Meri Neend

Tooti jo meri neend to sapna chala gaya,

Sooraj k sath saya bhi apna chala gaya,

Phir yea hoa k chand se nafrat si ho gai,

Ek shakhs mujh ko choor k tanha chala gaya

Muhabat ka “IRADA” badal jana B mushkil hai

usy “KHONA” B mushkil hai

unhy “PANA” B mushkil hai

zara c bat pe ankhen “BHIGO” k beth jaty ho

unhy to apny dil ka “HAAL” batana B mushkil hai

udasi un k chehry pe “GAWARA” B nahi lekin

unki khatir “SITARY” tor k lana B mushkil hai

yaha logo ne khud per itny “PARDY” dal rakhy hain

kisi k dil me kia hai “NAZAR” aana B mushkil hai

mana k khuwab me “MULAQAT” hogi unse, WASI..

per un k bin “NEEND” aana B mushkil hai

Ab
Neend
Se
Kaho
Hum Se Sulah Kar Le “FARAZ”

Wo
Door
Chala Gaya
Hai Jis K Liye
Hum Jaaga Krte The……..!!

Tumharay khawab sajanay mein lutf ata hai,

K apna aap jalanay mein lutf ata hai,

Khuda se apnay liya mangta hon jab tujh ko,

Mujhe yea hath uthanay mein lutf ata hai,

Teri yaad mein bas jagtay rahein sab bher,

Khud apni neend churanay mein lutf ata hai,

Teri Zaat se hai be-panah Pyar humein,

Tumharay Naaz uthanay mein luft ata hai

Raat K Kisi Lamhay Jab Tumhari Yaad Aaye…
To Batao Mujh Ko Main Kya Karon?

Tumhein Mithi Neend Se Jaga Doon,
Ya Tumhare Sinay Pe Sar Rakh Doon?

Tumhari Gahri Band Ankhoon Ko Kholon,
Aur Un Main Sama Jaoon?

Ya Tumheen Bina Ankhein Jhapkay Dekhti Jaoon?
K Kaheen Ye Khuwab Toot Na Jaye..

K Tumhara Sath Chot Na Jaye..
Suno..

Mujhe Tumhare Sath Guzra Ek Lamha Bhi
Bhoolana Gawara Nahi

Suno..
Uthoo Aur Aik Baar Mujhe Ankh Bar K Dekhoo…

Or Mujh Ko Kaho…
K Tum Sirf Mere Hoo..

Find it!

Statistics

eXTReMe Tracker
 

Feed Subscribers

To top


Website by: Synix Technologies | Last Word: Afridi