TAG | Sad
Bichartey lamhey jo main ne poocha,
Tumari aankhon ko kia huwa hai,
Tou uski aankhon ki beeghi palkein bata rahi thein,
kahaniyan kuch suna rahi thein,
Puranay qisay gaye dinon k,
Aur us k honton ki larzishon se main sun raha tha kuch aisi batein,
K jin ki aahat ye keh rahi thi,
k meri khatir bas itna kar lo,
Ye chnd saansein mera asasa,
Tum in ko ley lo……!!!
Par is k badlay ye iltija hai,
Abhi na jana.!
Kabi na jana..!
Samndr C Haseen Ankhen Hmesha Yaad Ayngi..
Mjhe us Shakhs Ki Baaten Hmesha Yaad Ayngi..
…Chalo Ye Farz Kr Lete hain Mjh Ko Bhool Jaogi,
Magr Meri Kahi Ghazlen Hmesha Yaad Ayngi..
Yunhi Dasht-e-Musaft me Gire Jo Tm Kbi Thak Kr,
Tjhe Meri Ghani Palken Hmesha Yaad Ayngi..
Hawa Jab B Tre Honto Ko Choom Kr Gzre Gi,
Meri Bikhri hui Sansen Hmesha Yaad Ayngi..
Chand Jab Tere Pehlu me Aa Kr Gun’Gunaye Ga,
Tjhe Kuch Sur’mai Shamen Hmesha Yaad Ayngi..
Poet: Sadia Saher
Tujey Bhulana Jo Chaha
Tu Mujey Ehsas Hoa
Teri Mohabbat ka Zehar
Meray Raag o Jaan Main
Cancer ki Teran Phail Chuka Hai…
Tujey Bhulaney Main Abhi Waqat Lagay Ga
Tujsay Dour Janey Main Abhi Waqat Lagay Ga
Tujsay Juda Ho Ker Mar Jayon Gi
Apna Hosla Azmanay Main Abhi Waqat Lagay Ga
Socha Na Tha Kuch bhi Teray Siwaa
Dil ko Behlaney Main Abhi Waqat Lagay Ga
Her Jazba Tha Dil Main Faqt Teray Naam Ka
Her Jazbay ko Sulaney main Abhi Waqat Lagay Ga
Door Talak Teray Saath Chaali Hoon
Lout Ker Anay Main Abhi Waqat Lagay Ga
Saher Dil Tu Na Samaj Hai Kuch Manta Nahi
Aus ko Samjaney Main Abhi Waqat Lagay Ga
Aankhon mein ansoon ki haqiqat na poochta
Aye kash mujhse wo meri halat na poochta
Ab maine us se usko talab kar liya to kya?
Wo bhi to mujhse meri zarorat na poochta
Wo mujhko aazmata kisi or tarha se
Kitni hai mujho us se mohabbat na poochta
Faraz agar wo jaan jata dil k maamlay
Tujse kabhi bhi waja-e-mohabbat na poochta
Judai Ki Aazeyaat Ko…!
Aagar Tum Jaan Na Chaaho…!!!
To Kuch Pal Ko…!!!
Zara Yah Saans Apni…!
Rook Kar Dekho…!
Tumhein Mehsoos Ho Ga K…!
Judaai Mout Jaisi Hay…!
Hasrat hai tumhari deed karain,
Tum Aoo To Hum Bhi EID Karain,
Kuch rooz to dil ko chain milay,
Kuch rooz to mann ka phool khilay,
Kahtey hain k EID ki aamad hai,
Hum log bhi kuch ta-eed karain,
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain,
Tum se ek guzarish hai,
Ye apne dil ki khahish hai,
Ek baar milo ek baar milo
har baar he ye takeed karain,
Tum Aoo To Hum Bhi EID Karain,
Jab gham k badal chaey thay,
Us waqt bhi tum naa aye thay,
Is baar bhi tum naa aao gey,
Sab dushman ye tankeed karain,
Tum Aoo To Hum Bhi EID Karain,
Manaa k hum dewanay hain,
Sab bataoon se anjanay hain,
Jab apne he beganay hain,
kya ghairoon se umeed karain?
Tum Aoo To Hum Bhi EID Karain
Shehr-e-fana hoon,
tere kis kaam ka hon?
Ek bujhta sa dia hon,
tere kis kaam ka hon?
Tu rafaqat k liye aur kisi ko
chun le,
Main dhalta suraj hon,
tere kis kaam ka hon?
Tujko darkar hain pholo
k mehkatay saaye,
Main to sehra mein khara hon,
tere kis kaam ka hon?
Ae parstare gul-e-taar
tera rasta taktay taktay,
Shaakh pe sookh gaya hon,
tere kis kaam ka hon?
Tu bhi auron ki tarah
mujhse kinara kar le
Sari duniya se bura hon,
tere kis kaam ka hon?
“Tere Hote Bhi
Tanhai Mili Hai”
“Wafa Kar K Bhi
Bewafai Mili Hai”
“Jitni Dua Ki
Tumhe Panay Ki”
“Us Se Zyada
Teri Judai Mili Hai…”





