TAG | Yaadon
Yadon ka ek Jhonka aya Hum se Milnay Barson Baad….!!!
Pehlay itna Roye na thay Jitna Roye Barson Baad….!!!
Lamha Lamha Ghar Ujra ha Mushkil se Ehsas hua hai….!!!
Pathar Aye Barson Pehlay Sheeshay Tootay Barson Baad….!!!
Aj Hamari Khak pay Duniya Ronay Dhonay Baithi hai….!!!
Phool hue hein janey kaisey itnay Sastay Barson Baad….!!!
Dastak ki Umeed lagaye kab tak Jeetay hum….!!!
Kal ka Vada karnay walay Milnay Aye Barson Baad…!!
“YAADON”
Ko Bhulane Main Kuch dair to lagti Hai,,,”AANKHON”
Ko sulany main kuch Dair to lagti hai,,,
Kisi “SHAKHS”
Ko bhula dena itna Aasan nahi hota,,,”DIL”
Ko samjhany main Kuch dair to lagti Hai,,,
Bhari “MEHFIL”
Main jab koi Achanak yaad aa Jaye,,,
Phir
“Aanso”
Chupany main kuch Dair to lagti hai,,,
Jo Shakhs
bohat Pyara Ho Achanak door ho Jaye,,,
Dil ko
“YAQEEN”
Dilany main kuch Dair to lagti hai..
Yaadon ki garam hawaon se
Ankho ki klyan jalti hain,
Jb ansu dard ban jate hain
“kuch log boht yaad atay hain”
Jb kalay badal Ghir ayen
Or barish zor ki hoti hai,
Drwaze shor Mchate hain
“kuch log bohat yaad ate hain”
Jb ous k qatre pholon pr moti se ban jate hain,
Tb hum b ashk bahate hain
“kuch log bohat yaad atay hain”
Hum yaad main gum sum rehte hain or chand ko takte rahte hain,
Taron se bat chupate hain
“kuch log bohat yad atey hain”
Khunk rut main tanhai hi chukhat py khari hy__________
Jaary ki udaas shaam hy,
DECEMBER aan puhancha hy
Angun main uter aai hy manoos si khushboo_________
Yaadon ka azdahaam hy
DECEMBER aan puhancha hy
Khamoshion ka raaj hy,
khizan taak main hy__________
Udaasi bhi buhat aam hy
DECEMBER aan puhancha hy

