Aik Shararat Kartay Hain

Aik shrarat kartay hain…
Aao Mohabbat kartay hain…

Hansti ankho sey keh do
Darya hijrat kartay hain..

Kuch dil aisy hain jin par
hum bhi huqomat kartay hain,

Koi baat to hai mujh main
Dushman izaat kartay hain,

Zinda rehna hai dushwaar.
Acha himat kartay hain,

Waisy hotay nahi hain log
Jaisi chahat kartay hain,

Aksar apny ap se hum
Teri shikayat kartay hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *