Bahir Na Gaya

Dil kabhi Surat-e-Halaat se bahir na gaya,
Main Mohabbat mein bhi Auqaat se bahir na gaya..

Ek Tu hai, k Jahaan bhar se Ta’luq Tera,
Ek Main hoon, k Teri zaat se bahir na gaya..

Marhala tuj se judai ka b aa pohancha lekin,
Mein abhi pehli mulakat se bahir na gaya..

Soch, koi na teri soch se hut kar sochi,
Tazkira koi teri baat se bahir na gaya..

Aao suraj ko batatey haiN tamazat kia hai,
Chand kia janay,Ye khud raat se bahir na gaya..

One comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *