Dheeray Se Sarakti Hai Raat – Wasi

Dheery Se Sarakti Hai Raat
Uske Anchal Ki Tarha,

Uska Chehra Nazar Ata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarha,

Baad Muddat Usko Dekha To
Jism_o_jaan Ko Youn Laga,

Pyasi Zameen Pe Jaisy Koi Baras Gaya Badal Ki Tarha,

Roz Kehta Hai Seeny Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jaga’oun Ga,

Sar_e_Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarha,

Mere Hi Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakh’s,
“wasi”

Aur Mein
Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarha…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *