Dheray Dheray Bikhar Gaya Hoon

Ajab takazy hain chahaton k,
Bari katthan ye musaftain hain,

Main jis ki rahon main bichh gaya hoon,
Ussi ko mujh sy shikaytain hain,

Shikaytain sab baja hain lakin,
Main  kaisy us ko yaqeen dilaon,

Jo mujh ko jan sy Aziztar hai,
Ussy bhulaoon to mar na jaon,

Main is khamoshi k imtehan mein,
Kahan kahan se guzar gaya hoon,

Ussy khabar b nahi  hay shayad,
“maien dheray dheray Bikhar gaya hoon.!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *