Khayal Ban Kar Mila Karain Ge

Wisal mausam guzar gaya to
khayal ban kar mila karain ge

Bichar gaye to hum ek
maah-o-saal ban kar mila karain ge

Kitaab-e-ehad-o-wafa k ek ek warq pe
apni khabar milay gi

Hum elah-e-ulfat mohabbaton ki
misaal ban kar mila karain ge

Hazaar lamhon ki ho musafaat dilon ki
dharkan sunaai dey gi

Guzartay mausam ki har sada mein
bahar ban kar mila karain ge

Abhi to lamhon ki doriyon per
bhatak rahay hain magar kabhi hum

Falak ki gardish mein aa gaye to
hilal ban kar mila karain ge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *