Muqaddar Azmanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain

Muqaddar aazmanay mein Zamaanay Beet Jatay Hain…

Muradein dil ki paanay mein Zamaane  Beet Jaate Hain…

Nahi rakhta koi himmat agar Izhar-e-Ulfat ki

Zaban par baat laanay mein Zamane Beet Jaate Hain…

Mohabbat zindagi mein jo bari mushkil se milti hai

Magar us k nibhanay mein  Zamanay Beet Jate Hain…

Agar 1 baar Aankhon mein achanak aa basay koi

Usay dil se bhulanay mein Zamane Beet Jate Hain.

One comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *