To Kya Hota Hai?

Chand ki simat nazar jae to kya hota hai,,,

Raat kuch yun hi guzar jae to kya hota hai,,,

Kitni masom ada se wo mujhe pochta hai,,,

Jab koi dil mein utar jae to kya hota hai,,,

Ab koi to faqat itna bata de mujh ko,,,

Aadmi jite ji mar jae to kya hota hai,,,

Kisi anjan musafir ka kisi pichle pehar,,,

Aks aankhon mein thehar jae to kya hota hai,

Dard de ke wo mujhe hansta raha or bola,

Dard jab had se guzar jae to kya hota hai

One comment

  1. Aaah aaj 8 saal baad ye gzl pir sy parhi to bht si yaadein taaza ho gai. Ufff wo b kia din thy

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *