TAG | Aankhon
Aahat hoi to samjhay k ho gai muraad puri,
Darwaza khola usko na paya to bohat yaad aya!
Har waqat rehta tha dil mein dharkan ban k,
Aaj pani ban k aankhon mein aya to bohat yaad aya!
Sar-e-shaam se muntazir thein uski surat ko nigahain Mohsin,
Wo raat gaye tak na aya to bohat yaad aya!
Aaj barsoon baad rotay rotay meri aankh lag gai,
Us k khawab ne achanak jo jagaya to bohat yaad aya!
Bichartey lamhey jo main ne poocha,
Tumari aankhon ko kia huwa hai,
Tou uski aankhon ki beeghi palkein bata rahi thein,
kahaniyan kuch suna rahi thein,
Puranay qisay gaye dinon k,
Aur us k honton ki larzishon se main sun raha tha kuch aisi batein,
K jin ki aahat ye keh rahi thi,
k meri khatir bas itna kar lo,
Ye chnd saansein mera asasa,
Tum in ko ley lo……!!!
Par is k badlay ye iltija hai,
Abhi na jana.!
Kabi na jana..!
Teri Kam Goi K Charchay Zamanay Bhar Mein Hain, Faraz
0 Comments | Posted by Talal Masood in Faraz SMS, Poetry (Urdu)
Teri Kum Goi K Charchy Zamany Bhar Mein Hain
Kis Se Seekha Yun Aankhon Se Baaton Ki Wazahat Karna?
Sab Mujhe He kehty hain k, TU usay Bhool Ja, Faraz
Koi usy kyun nahi kehta k, WO mujhe yaad He na Aya karey?
Chand ki simat nazar jae to kya hota hai,,,
Raat kuch yun hi guzar jae to kya hota hai,,,
Kitni masom ada se wo mujhe pochta hai,,,
Jab koi dil mein utar jae to kya hota hai,,,
Ab koi to faqat itna bata de mujh ko,,,
Aadmi jite ji mar jae to kya hota hai,,,
Kisi anjan musafir ka kisi pichle pehar,,,
Aks aankhon mein thehar jae to kya hota hai,
Dard de ke wo mujhe hansta raha or bola,
Dard jab had se guzar jae to kya hota hai
“Suna hoga Bahot tum ne..!,
Kahin ankhon
Ki rim jhim ka,
Kahin palkon ki
Shabnam ka,
Parha ho ga
Bahot tum ne
Kahin lehjay ki
Barish ka,
Kahin aansu k
Sagar ka,
Magar tum ne
Kabhi Humdum..!
Kahin dekhay?
Kahin parhay?
KISI TEHRER K AANSO?
Mujhey teri judai ne..
Yahi meraj
Bakhshi hay.
K men jo
Lafz likhta hon.
Woh sarey
LAFZ ROTY HAIN.
K men jo
Harf bunta hoon,
Woh sarey
HARF ROTY HAIN.
Merey sang
Is judai mein,
“MERE
ALFAZ ROTY HAIN”._.
“YAADON”
Ko Bhulane Main Kuch dair to lagti Hai,,,”AANKHON”
Ko sulany main kuch Dair to lagti hai,,,
Kisi “SHAKHS”
Ko bhula dena itna Aasan nahi hota,,,”DIL”
Ko samjhany main Kuch dair to lagti Hai,,,
Bhari “MEHFIL”
Main jab koi Achanak yaad aa Jaye,,,
Phir
“Aanso”
Chupany main kuch Dair to lagti hai,,,
Jo Shakhs
bohat Pyara Ho Achanak door ho Jaye,,,
Dil ko
“YAQEEN”
Dilany main kuch Dair to lagti hai..
Haan Pyar me bas Yehi baat thi honay ki
Chain se Ek raat na mili sonay ki
Ek Qasoor jo kya tha mohabat ka “Wasi”
Aankhon k saath dil ko bhi saza mili ronay ki.
Phir koi zakham laga do k mai zinda ho abhi
Meri pehchan mita do k mai zinda hon abhi
Mere hote hue tum ashk bahao to bura lagta hy
Meri ankhon ko rula do k mai zinda hon abhi
Or kuch to tumse hargiz na diya jaega
Mujhe marne ki dua do k mai zinda hon abhi…
Aankhon mein ansoon ki haqiqat na poochta
Aye kash mujhse wo meri halat na poochta
Ab maine us se usko talab kar liya to kya?
Wo bhi to mujhse meri zarorat na poochta
Wo mujhko aazmata kisi or tarha se
Kitni hai mujho us se mohabbat na poochta
Faraz agar wo jaan jata dil k maamlay
Tujse kabhi bhi waja-e-mohabbat na poochta
Aziyatoon K Tamam Nishtar…!
Meri Ragon Mein Utar Kar…!
Wo…
Bari Mohabbat Se Poochtay Hain…!
Tumhari Aankhon Ko Kya Hoa Hai…?

