TAG | Ghazal
Koi Ghazal Suna Kar Kya Karna?
Yon Baat Barha Kar Kya karna?
Tum Mere Thay, Tum Mere Ho
Duniya Ko Bata Kar Kya Karna?
Tum Ehad Nibhao Chahat Se
Koi Rasam Nibha Kar Kya Karna?
Tum Khafa Bhi Achay Lagtay Ho
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna?
Tere Dar Par Aa Kar Baithay Hain
Ab Ghar Bhi Jaa Kar Kya Karna?
Din Yaad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko Bhula Kar Kya Karna?

Yea Chahaton K Silsile
Ajeeb Thay, Ajeeb Hain
Kabhi Wo Humse Door Hain
Kabhi Bohat Qareeb Hain
Jo Chacha Wo Na Paa Sakay
Jo Paa Liya Usay Na Chah Sakay
Gila Karen To Kya Karen
Sab K Apnay Apnay Naseeb Hain
Na Koi Apna Hai Yahan
Jise Haal-e-Dil Suna Sakain
Jo Dost Hain, Wo Door Hain
Jo Pas Hain, Wo Raqeeb Hain
Gila Karen To Kya Karen
Sab K Apnay Apnay Naseeb Hain
Ye Chahton K Silsile
Ajeeb Se Ajeeb Hain
Wafa k ruth jany pr ghazal takhleq hoti hy,
Kabhi Sajan manany pr ghazal takhleq hoti hy,
Main lafzon k smandar me mila deta hon sochon ko
Phir unki yad anay pr Ghazal takhleq hoti hy,
Mere andar jo Panchi qaid hy sanson k zindan me
Usi k pharphrany pr ghazal takhleq hoti hy,
Chaman me raqs krti hy saba jab phol k agay,
To un k muskurane pr ghazal takhleq hoti hy,
Muje ata nahi hy shair likna 1 b lakin
Uski yad anay pr gazal takhleq hoti
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.

