Pak-SMS.com | Free SMS to Pakistan Mobilink Ufone Warid Telenor Zong Djuice Instaphone GSM
Pak-SMS.com
Free SMS to Pakistan Mobilink Ufone Telenor
Zong Djuice Instaphone GSM

TAG | Yaad

Usay Kehna K Uski Yaad Mein Behaad Azeeyat Hai

Ya Apna Naqsh Dho Jaye, Ya Phir Mera Hee Ho Jaye!

Bata Kar Kya Karna

Koi Ghazal Suna Kar Kya Karna?
Yon Baat Barha Kar Kya karna?

Tum Mere Thay, Tum Mere Ho
Duniya Ko Bata Kar Kya Karna?

Tum Ehad Nibhao Chahat Se
Koi Rasam Nibha Kar Kya Karna?

Tum Khafa Bhi Achay Lagtay Ho
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna?

Tere Dar Par Aa Kar Baithay Hain
Ab Ghar Bhi Jaa Kar Kya Karna?

Din Yaad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko Bhula Kar Kya Karna?

Kaisa waqt hai! Usay fursat nahi mujhe yaad karnay ki!

Kabhi wohi shakhs meri hee sansoon se jiya karta tha!

Raat Ki Raani Din Mein

Kaab Mehakti Hai Bhala

Raat Ki Raani Din Mein?

Shehar Soya To Teri Yaad

Ki Khushbu Jagi

Meri Surakh Surakh Ankhien, Mujey Bata Rahi Hain Mohsin…
Phir Subha Ker Di Mainey, Ausey Yaad Kertey Kertay ….!!

Bohat Yaad Aya, Mohsin

Aahat hoi to samjhay k ho gai muraad puri,

Darwaza khola usko na paya to bohat yaad aya!

Har waqat rehta tha dil mein dharkan ban k,

Aaj pani ban k aankhon mein aya to bohat yaad aya!

Sar-e-shaam se muntazir thein uski surat ko nigahain Mohsin,

Wo raat gaye tak na aya to bohat yaad aya!

Aaj barsoon baad rotay rotay meri aankh lag gai,

Us k khawab ne achanak jo jagaya to bohat yaad aya!

December K Maheene Ka..

Wo Shayad Akhri Din Tha!

Baraz Guzrey Kai Maine Mohabbat

Lafz Likha Tha!

Kisi Kaghaz K Tukray Par

Achanak Yaad Aya Hai …

Kisi Se Baat Karni Thi

Usay Kehna Tha

Jaan-e-Jaan

Mujhe Tumse Mohabbat Hai ..!!

Magar Mein Keh Nahi Paya

Wo Kaghaz Aaj Tak Lipta Para Hai

Dhool Mein

Lekin

Kisi Ko De Nahi Paya

Dobara Chah Kar Bhi Main

Mohabbat Kar Nahi Paya!!

Teri Kum Goi K Charchy Zamany Bhar Mein Hain
Kis Se Seekha Yun Aankhon Se Baaton Ki Wazahat Karna?
Sab Mujhe He kehty hain k, TU usay Bhool Ja, Faraz
Koi usy kyun nahi kehta k, WO mujhe yaad He na Aya karey?

Yaad Hai Jana

 

Yaad Hai Jana!!…

Tumney Pichli Bar Kaha Tha

Mujko Bhool k Khush Rehna Hai

Tum ko Tu Mai Bhool Na Paya

Likin Jana!!

Chupkay Chupkay Dukh Sehta Hon

Ab Mai Aksar Khush Rehta Ho

Samndr C Haseen Ankhen Hmesha Yaad Ayngi..
Mjhe us Shakhs Ki Baaten Hmesha Yaad Ayngi..

…Chalo Ye Farz Kr Lete hain Mjh Ko Bhool Jaogi,
Magr Meri Kahi Ghazlen Hmesha Yaad Ayngi..

Yunhi Dasht-e-Musaft me Gire Jo Tm Kbi Thak Kr,
Tjhe Meri Ghani Palken Hmesha Yaad Ayngi..

Hawa Jab B Tre Honto Ko Choom Kr Gzre Gi,
Meri Bikhri hui Sansen Hmesha Yaad Ayngi..

Chand Jab Tere Pehlu me Aa Kr Gun’Gunaye Ga,
Tjhe Kuch Sur’mai Shamen Hmesha Yaad Ayngi..

Find it!

Statistics

eXTReMe Tracker
 

Feed Subscribers

To top


Website by: Synix Technologies | Last Word: Afridi